Hope

First song ❤ on unkhi batein by Sulin sir 🙂
Inspired by Gulzar Sahab, but with unique touch

A Touch to Unkahi Batein

Mera kuch samaan, tumhare pas pada hai,

mera kuch samaan, tumhare pas pada hai,

mere kitne ankahe sawal pade hai,

sirf tumne, jo khamoshi meri me padhe hai,

wo jawab bta do, mera wo samaan lauta do….

Jo tay na kar pae, wo safar adoore pade hai,

mere manane ko tere, jhoothe sahi pr pyare, shikwe sare pade hai,

wohi chand lamhe lauta do, mera wo samaan lauta do.

Ankho me ansoo hai, jo kabse behne ko pade khade hai,

kitne or bhi dard hai, jo dil ne jakde rakhe hai,

bas gale laga do or mere wo ansoo baha do..

Ye zindge meri, tum bin adhoori padi hai,

bahut jee chuka hu, par saanse akhiri tere pas padi hai,

yahi samaan ;lauta do or mujhe ab sula do….

mera kuch samaan, tumhare pas pada hai…..

mera kuch samaan, tumhare pas pada hai…….

(inspired from the “Mera kuch samaan tumhare…

View original post 9 more words

3 thoughts on “Hope

Leave a comment